Karachi:
Aaj ki Express News Urdu in Roman Updates ke mutabiq Pakistan me sonay ki qeemat record satah par pohanch gayi hai. Global aur local market dono me izafa dekhne ko mila jis ne awaam aur sarafa bazar dono ko hairan kar diya.

International bullion market me fii ounce sona 61 dollar barh kar 3613 dollar ka record ban gaya, jo ab tak ka sabse ziada rate hai. Maahireen ka kehna hai ke global economy ke uncertainty aur dollar ke against demand barh rahi hai jis ki wajah se sona mehnga hota ja raha hai.
Local sarafa bazar me bhi bara izafa record hua. Aaj fii tola 24 qirat sona 6100 rupay barh kar 3 lakh 84 hazar rupay tak pohanch gaya. Isi tarah fii 10 gram sona bhi 5230 rupay ke izafay ke sath 3 lakh 29 hazar 219 rupay ho gaya. Yeh Pakistan ki history ka sabse zyada rate hai.
Mahireen ka kehna hai agar dollar ki qeemat barhti rahi to aanay wale hafton me sona 4 lakh rupay fii tola tak jasakta hai. Awaam rozana internet par Express News Urdu in Roman Updates aur latest gold price in Pakistan search karte hain taa keh unhe sonay ki taza rates ka maloomat mil sake.
Siyasat aur economy ke experts ka ye bhi kehna hai ke agle chand mahine me agar global market stabilize na hui to sone ki demand aur prices aur ziada barh sakti hain.
Aaj Pakistan me sonay ki nayi qeemat kya hai?
Aaj Pakistan ke sarafa bazaron me 24 qarat sonay ki fii tola qeemat 3 lakh 84 hazar rupay aur fii 10 gram qeemat 3 lakh 29 hazar 219 rupay record satah par pohanch gayi.