Chief Minister Punjab Maryam Nawaz Sharif ne ek zabardast qadam uthaya hai jiska naam hai Apni Zameen Apna Ghar Program.. Is scheme ka maqsad hai Punjab ke gareeb aur beghar logon ko muft 3 marla zameen dena taake wo apna ghar bana saken.. Yeh program “Housing for All” vision ka hissa hai..
Program ko Punjab Housing && Town Planning Agency (PHATA) execute kar raha hai aur HUD&PHED is ka administrative department hai..
Program Details
- Plot Size: 3 Marla
- Cost: Bilkul free
- Total Plots (Phase 1): 2000
- Districts Covered: 19
- Schemes: 23 housing schemes
- Target: Gareeb log jo Pakistan mein kisi bhi jagah ghar ya plot ke malik nahi hain
Read More: Punjab Government ne CM Punjab Wheat Support Program 2025 ka aghaz kar diya hai, jiska maqsad chhoti zameen rakhne wale kisan bhaiyon ko maali sahulat dena hai… Is scheme ke zariye eligible kisaan ko har acre par Rs… 5000 ka muawza diya jaega…
Eligibility Criteria (Ahal Hone Ke Sharaait)
- Applicant ka Punjab ka permanent resident hona zaroori hai (CNIC ke mutabiq)
- Application sirf apne district ki scheme ke liye submit ki ja sakti hai
- Applicant, un ka spouse ya bachay Pakistan mein kahin bhi ghar ya plot ke malik nahi hone chahiye
- Applicant ka criminal record clean ho
- Applicant kisi bank ka defaulter nahi hona chahiye
- Galat information dene par application reject ho jaegi
Plot Allotment Ke TORs (Terms of Reference)
- Plot milne ke 6 mah ke andar construction start karni hogi
- Ghar ki construction 2 saal ke andar complete karni hogi
- Plot ko 5 saal tak becha, lease ya transfer nahi kiya ja sakta
- Rules ki khilaf warzi par allotment cancel ho sakta hai
- Plot sirf residential use ke liye hoga – commercial activity mana hai
- Galat info ya non-compliance par PHATA plot wapas le sakta hai
- PHATA kisi bhi waqt inspection kar sakta hai
- Har dispute GRC committee (Grievance Redressal Committee) ke paas jaega


How to Apply – Apni Zameen Apna Ghar Portal
- Visit karein: https://azag.punjab.gov.pk
- New account banayein ya login karein
- Application form fill karein – CNIC, income, aur zaroori documents upload karein
- Sab kuch review karne ke baad submit karein
- Application ka status portal pe hi check kar sakte hain
- Koi problem ho to help section ya support team se raabta karein
District-Wise 3 Marla Plots (Phase 1 Quota)
District | Scheme Name(s) | No. of Plots |
Jhelum | ADS-IV & ADS-I | 727 + 3 |
Kasur | ADS Pattoki | 388 |
Faisalabad | ADS Mamukanjan | 257 |
Lodhran | ADS Lodhran | 218 |
Okara | Renal Khurd II & Okara | 128 + 2 |
Layyah | Extension Housing Scheme | 55 |
Bhakkar | 2 Housing Schemes | 36 + 16 |
Sahiwal | 3 Marla Housing Scheme | 33 |
Sargodha | Sillan Wali | 25 |
Khushab | Jauharabad | 24 |
Bahawalnagar | ADS Bahawalnagar | 20 |
M. B. Din | ADS-Mandi Baha-Ud-Din | 17 |
Rajanpur | ADS Rajanpur | 15 |
Attock | ADS Hazro | 11 |
Gujrat | 3 Marla Housing Scheme | 8 |
Bahawalpur | ADS-I (2 Schemes) | 6 + 1 |
Vehari | 3 Marla Scheme | 4 |
Jhang | ADS Jhang | 4 |
Chiniot | ADS Chiniot | 2 |
Total Plots in Phase 1: 2000
Contact Information
- Phone: 042-99213419, 042-99213428
- Email: info@phata.punjab.gov.pk
- Website: https://apnizameenapnaghar.com
Final Words
Apni Zameen Apna Ghar Program ek aisa historic qadam hai jo Punjab ke gareeb tabqay ke liye apna ghar ka khwab poora karega.. Agar aap eligible hain to foran portal pe jaake apply karein, taake aap bhi is behtareen moqa se faida utha saken..
Read More: Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ki leadership mein Punjab Government ne ek behtareen initiative launch kiya hai — jiska naam hai Asaan Karobar Finance aur Asaan Karobar Card Scheme… Is scheme ka aim hai ke har youth apna chhota business start kare aur “Apna kamao, apna khao” ka mission mukammal ho…
Kis Ko Aur Kaise Faida Hoga?
Apni Zameen Apna Ghar Program 2025 ka sab se bara faida un logon ko hoga:.
- Jo log beghar hain ya kiraye ke gharon mein rehte hain
- Low-income families jo apna ghar afford nahi kar sakti
- Single mothers, widows ya wo log jin ke paas apni jayeedad nahi hai
- Punjab ke wo shehri jinhon ne kabhi bhi Pakistan ke kisi bhi hissay mein ghar ya plot nahi liya
- Aise log jo naye shuruat ka sapna dekhte hain lekin un ke paas zameen ya investment nahi hai
Yeh program sirf plot ka malik banane ka moka nahi deta — balkay yeh:
- Social security deta hai
- Ghar ka permanent address deta hai
- Long-term me ghar ki value barhne ka moka deta hai
- Families ko dignity aur ownership ka ehsas dilata hai
- Future me children ke liye inheritance ka zariya ban sakta hai
Focus Keywords
- CM Punjab Free Plot Scheme 2025
- Punjab 3 Marla Plot Scheme
- Free Residential Plots in Punjab
- Apni Zameen Apna Ghar Apply Online
- Maryam Nawaz Housing Scheme 2025
- PHATA Plot Scheme Punjab
- Punjab Government Housing Scheme
- How to apply for Apni Zameen Apna Ghar
- Punjab Free Land for Poor Scheme
- Low-income housing program Punjab
FAQs – Apni Zameen Apna Ghar Program
Apni Zameen Apna Ghar Program kya hai?
Yeh ek government scheme hai jisme Punjab ke gareeb logon ko 3 marla residential plots muft diye ja rahe hain..
Plot muft milta hai ya paise dene padte hain?
Bilkul muft milta hai agar aap eligible hain..
Kon kon apply kar sakta hai?
Sirf Punjab ka permanent resident jo Pakistan mein kahin bhi plot ya ghar ka malik nahi hai..
Kya tenant (kiraye dar) bhi apply kar sakta hai?
Ji haan, agar wo criteria puray karta hai aur us ke naam koi property nahi hai..
Plot kis size ka hota hai?
Plot 3 marla residential hota hai..
Kitne logon ko plots mil rahe hain?
Phase 1 mein total 2000 plots diye ja rahe hain across 19 districts..
Kya har district mein scheme available hai?
Sirf un 19 districts mein jahan schemes run ho rahi hain – full list upar article mein di gayi hai.
Application kaise submit karni hai?
Online portal pe jaake form fill karke documents upload karne hote hain..
Portal ka link kya hai?
Visit karein: https://azag.punjab.gov.pk
Kis kis tarah ke documents chahiye hote hain?
CNIC, income details, aur jayeedad na hone ka declaration.
Plot milne ke baad kya karna hoga?
6 mah ke andar construction start karni hoti hai, 2 saal mein complete karni zaroori hai.
Plot ko becha ja sakta hai?
Nahi! 5 saal tak bechna, lease ya transfer karna mana hai.
Agar main rules follow na karun to kya hoga?
PHATA allotment cancel kar dega aur bina notice ke plot wapas le sakta hai.
Kya PHATA inspection karega?
Haan, kisi bhi waqt construction inspect ki ja sakti hai.
Commercial kaam kar sakte hain is plot pe?
Nahi! Yeh sirf residential use ke liye hai. Commercial activity mana hai.
Agar kisi ne jhoot bola ho application mein?
To allotment cancel hoga aur plot wapas le liya jaega.
Ghar na banane par kya hoga?
Agar 2 saal mein construction complete na hui to allotment cancel ho sakta hai.
Kya PHATA kisi help ya complaint ka system rakhta hai?
Ji haan, Grievance Redressal Committee (GRC) har complaint handle karti hai.
Contact number kya hai is scheme ka?
Aap call kar sakte hain: 042-99213419, 042-99213428
Email ya aur contact info?
Email karein: info@phata.punjab.gov.pk