Chief Minister Punjab Maryam Nawaz Sharif ne ek zabardast qadam uthaya hai jiska naam hai Apni Zameen Apna Ghar Program.. Is scheme ka maqsad hai Punjab ke gareeb aur beghar logon ko muft 3 marla zameen dena taake wo apna ghar bana saken.. Yeh program “Housing for All” vision ka hissa hai..
Program ko Punjab Housing & Town Planning Agency (PHATA) execute kar raha hai aur HUD&PHED is ka administrative department hai..
Table of Contents
📢 Ahem Ittila – AZAG Program
Scrutiny Committee ke liye Zaroori Documents ki Darkhwast
Tamam applicants jinhu ne apni applications 16.07.2025 ki closing date tak submit ki thin, unko hidayat di jati hai ke woh neeche diye gaye documents 30 din ke andar apne District Deputy Commissioner Office ya PHATA Field Office me jama karwain:
CNIC (Applicant aur agar shadi shuda hain to spouse ka bhi)
Domicile Certificate
Rs. 200 ke e-stamp paper par Halafnama (Affidavit)
Financial Integrity ka Saboot
Property Ownership ka Saboot
Maloomat ki Sahi Honay ki Tasdeeq
Police Character Certificate (Mutaliqa Thana ya E-Khidmat Markaz se)
Scrutiny Committee ki taraf se agar koi mazeed documents maange jaen
📍 Note: Yeh requirement sirf 19 zilon (districts) ke liye hai. Tafseelat ke liye list dekhein.
📌 Agar documents waqt par submit nahi kiye gaye to aapki eligibility mutasir ho sakti hai.
Download PDF ya InPage Version ke liye website visit karein.
Program Details Apni Zameen Apna Ghar
Plot Size: 3 Marla
Cost: Bilkul free
Total Plots (Phase 1): 2000
Districts Covered: 19
Schemes: 23 housing schemes
Target: Gareeb log jo Pakistan mein kisi bhi jagah ghar ya plot ke malik nahi hain
Government-funded 3 Marla Plots Subsidized Housing Loans Pakistan Construction Loan for Plot Holders
Read More: Punjab Government ne CM Punjab Wheat Support Program 2025 ka aghaz kar diya hai, jiska maqsad chhoti zameen rakhne wale kisan bhaiyon ko maali sahulat dena hai… Is scheme ke zariye eligible kisaan ko har acre par Rs… 5000 ka muawza diya jaega…
Note: Phase 2 is expected to expand to more districts after the success of Phase 1.
Read More:Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ki leadership mein Punjab Government ne ek behtareen initiative launch kiya hai — jiska naam hai Asaan Karobar Finance aur Asaan Karobar Card Scheme… Is scheme ka aim hai ke har youth apna chhota business start kare aur “Apna kamao, apna khao” ka mission mukammal ho…
Program Benifits – Apni Zameen Apna Ghar
Apni Zameen Apna Ghar Program 2025 ka sab se bara faida un logon ko hoga:.
Jo log beghar hain ya kiraye ke gharon mein rehte hain
Low-income families jo apna ghar afford nahi kar sakti
Single mothers, widows ya wo log jin ke paas apni jayeedad nahi hai
Punjab ke wo shehri jinhon ne kabhi bhi Pakistan ke kisi bhi hissay mein ghar ya plot nahi liya
Aise log jo naye shuruat ka sapna dekhte hain lekin un ke paas zameen ya investment nahi hai
Yeh program sirf plot ka malik banane ka moka nahi deta — balkay yeh:
Social security deta hai
Ghar ka permanent address deta hai
Long-term me ghar ki value barhne ka moka deta hai
Families ko dignity aur ownership ka ehsas dilata hai
Future me children ke liye inheritance ka zariya ban sakta hai
Final Words
Apni Zameen Apna Ghar Program ek aisa historic qadam hai jo Punjab ke gareeb tabqay ke liye apna ghar ka khwab poora karega.. Agar aap eligible hain to foran portal pe jaake apply karein, taake aap bhi is behtareen moqa se faida utha saken..